ye dhuup chhāñv ke asrār kyā batāte haiñ
jo aañkh ho to usī kā pata batāte haiñ
ye kaun log haiñ jo saare kam ayyāroñ ko
kabhī charāġh kabhī ā.īna batāte haiñ
kabhī vo shaḳhs ik adnā ġhulām thā merā
rafīq ab jise apnā ḳhudā batāte haiñ
bahut se logoñ ko maiñ bhī ġhalat samajhtā huuñ
bahut se log mujhe bhī burā batāte haiñ
vo kitne chhoTe haiñ andāza ḳhud lagā liije
jo apne aap ko sab se baḌā batāte haiñ