poshīda kyuuñ hai tuur pe jalva dikhā ke dekh
ai dost merī tāb-e-nazar aazmā ke dekh
phūloñ kī tāzgī hī nahīñ dekhne kī chiiz
kāñToñ kī samt bhī to nigāheñ uThā ke dekh
letā nahīñ kisī kā pas-e-marg koī naam
duniyā ko dekhnā hai to duniyā se jā ke dekh
dil meñ hamāre dard zamāne kā hai nihāñ
paivast dil meñ saikḌoñ paikāñ jafā ke dekh
jo bāda-ḳhvār-e-ġham haiñ unheñ bhī kabhī kabhī
saaqī sharāb-e-husn ke sāġhar pilā ke dekh
ban jā.egā kabhī na kabhī dard hī davā
'as.ad' ke dil meñ dard kī shiddat baḌhā ke dekh