Asad Badayuni

puchho agar to karte hain inkar sab ke sab

Asad Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1952-2003
pūchho agar to karte haiñ inkār sab ke sab
sach ye ki haiñ hayāt se bezār sab ke sab
apnī ḳhabar kisī ko nahīñ phir bhī jaane kyuuñ
paḌhte haiñ roz shahr meñ aḳhbār sab ke sab
thā ek maiñ jo shart-e-vafā toḌtā rahā
hālāñki bā-vafā the mire yaar sab ke sab
socho to nafratoñ kā zaḳhīra hai ek dil
karte haiñ yuuñ to pyaar kā iz.hār sab ke sab
zindāñ koī qarīb nahīñ aur na raqs-gāh
sunte haiñ ik ajiib sī jhankār sab ke sab
maidān-e-jañg aane se pahle palaT ga.e
nikle the le ke haath meñ talvār sab ke sab
zehnoñ meñ khaultā thā jo laavā vo jam gayā
maflūj ho ke rah ga.e fankār sab ke sab
Top Urdushayar.com