jise na merī udāsī kā kuchh ḳhayāl aayā
maiñ us ke husn pe ik roz ḳhaak Daal aayā
ye ishq ḳhuub rahā bāvajūd milne ke
na darmiyān kabhī lamha-e-visāl aayā
ishāra karne lage haiñ bhañvar ke haath hameñ
ḳhoshā ki phir dil-dariyā meñ ishti.āl aayā
muravvatoñ ke samar dāġhdār hone lage
mohabbatoñ ke shajar tujh pe kyā zavāl aayā
hasīn shakl ko dekhā ḳhudā ko yaad kiyā
kisī gunāh kā dil meñ kahāñ ḳhayāl aayā
ḳhudā bachā.e tasavvuf-gazīda logoñ se
koī jo sher bhalā sun liyā to haal aayā