lamhe uljhan ke qarīb aa pahuñche
saa.e rahzan ke qarīb aa pahuñche
āñsuoñ se hī bujhā le nādāñ
sho.ale dāman ke qarīb aa pahuñche
kaun mujrim ko bachā saktā hai
haath dāman ke qarīb aa pahuñche
shīsha-o-mai jo kabhī raqs meñ the
sañg-o-āhan ke qarīb aa pahuñche
ab to apnoñ pe bharosa na rahā
dost dushman ke qarīb aa pahuñche
shor sun kar mirī rusvā.ī kā
vo bhī chilman ke qarīb aa pahuñche
ham rivāyāt ko pighlā ke 'nushūr'
ik na.e fan ke qarīb aa pahuñche