talab kī rāhoñ meñ saare aalam na.e na.e se
shajar hajar log shahr mausam na.e na.e se
chamak rahā thā falak pe sūraj nayā nayā sā
luTā chukī thī ḳhazāne shabnam na.e na.e se
haiñ ab bhī āñkhoñ ke dīdbānoñ meñ apnī vo din
lage diyār-e-sahar ko jab ham na.e na.e se
tamavvujoñ kī ragoñ meñ shorish na.ī na.ī sī
lahū ke jhagḌe badan meñ paiham na.e na.e se
purāne hote hue sahīfe daraḳht insāñ
ye chāñd sūraj sitāre har dam na.e na.e se
kabhī to ā.eñge shāḳh-e-dil par gulāb taaza
mileñge 'as.ad' hameñ bhī mausam na.e na.e se