jis ko honā hai vo in āñkhoñ se ojhal ho jaa.e
us se pahle ki mirā kaam mukammal ho jaa.e
maiñ to bas dekhtā rahtā huuñ zamīnoñ ke kaTāo
aadmī sochne vaalā ho to pāgal ho jaa.e
kahīñ aisā na ho vīrāne hoñ phir se ābād
kahīñ aisā na ho har shahr hī jañgal ho jaa.e
ye zamīñ jis pe hai gulzāroñ kī ta.adād bahut
ye bhī ho saktā hai kal ko vahī maqtal ho jaa.e
reg-zāroñ se buḳhārāt hī uThte haiñ magar
kaun jaane ki ye garmī koī bādal ho jaa.e
merā pindār hī dīvār hai nākāmī kī
ye jo gir jaa.e to har ḳhvāb mukammal ho jaa.e