āñkhoñ ne bahut din se qayāmat nahīñ dekhī
muddat huī achchhī koī sūrat nahīñ dekhī
chehroñ kī tarah kis liye murjhā.e hue haiñ
phūloñ ne to ham jaisī musībat nahīñ dekhī
vo shahr se guzrā thā faqat yaad hai utnā
phir koī bhī dastār salāmat nahīñ dekhī
lauTe jo masāfat se to maiñ us se ye pūchhūñ
bastī to koī raah meñ ġhārat nahīñ dekhī
girte hue pattoñ kī sadā.eñ mire dil se
kahtī haiñ ki tū ne koī hijrat nahīñ dekhī