purāne ghar se nikal kar na.e makān kī samt
bahut se log ga.e ik ajab jahān kī samt
pukārtā hai jo sadiyoñ se ham ko ai yaaro
chalo chale chaleñ us TuuTe sā.ebān kī samt
jo ek umr se rahtā thā barf-zāroñ meñ
chalā hai kis liye jaltī huī chaTTān kī samt
milā thā raah meñ baiThā jo ek din ham ko
sunā hai jā chukā vo shaḳhs āsmān kī samt
mirā jahāz jo pahuñchegā us jazīre meñ
na koī ġhaur se dekhegā bādbān kī samt
kabhī jo sochā hai haq baat kah duuñ ai 'as.ad'
baḌhī haiñ qaiñchiyāñ kitnī mirī zabān kī samt