mirī anā mire dushman ko tāziyāna hai
isī charāġh se raushan ġharīb-ḳhāna hai
maiñ ik taraf huuñ kisī kunj-e-kam-numā.ī meñ
aur ek samt jahāñ-dāri-e-zamāna hai
ye tā.eroñ kī qatāreñ kidhar ko jaatī haiñ
na koī daam bichhā hai kahīñ na daana hai
abhī nahīñ hai mujhe maslahat kī dhuup kā ḳhauf
abhī to sar pe baġhāvat kā shāmiyāna hai
mirī ġhazal meñ rajaz kī hai ghan-garaj to kyā
suḳhan-varī bhī to kār-e-sipāhiyāna hai