ishq meñ hijr ke sadme bhī uThā.e nahīñ haiñ
apnī marzī se to ham dasht meñ aa.e nahīñ haiñ
apnā kaasa bhī tahī apnā kadū bhī ḳhālī
dāġh-e-dīdār-o-havas dil pe lagā.e nahīñ haiñ
ham se māyūs na ho sham-e-shabistān-e-ḳhayāl
ham abhī ḳhaak ke siine meñ samā.e nahīñ haiñ
ab kisī samt se ḳhushbū nahīñ aatī ham tak
kāġhzī phuul bhī tāqoñ meñ sajā.e nahīñ haiñ
ik dukāñ khol ke bāzār kā ruḳh dekhnā hai
abhī aa.iin tijārat ke banā.e nahīñ haiñ
hurmat-e-harf kī tafsīr banāne vaalo
ham kisī aur sitāre se to aa.e nahīñ haiñ