zāhid asīr-e-gesū-e-jānāñ na ho sakā
jo mutma.in huā vo pareshāñ na ho sakā
qaid-e-ḳhudī meñ aadmī insāñ na ho sakā
zarra simaT gayā to bayābāñ na ho sakā
dāman tak aa ke chaak garebāñ bhī rah gayā
andāza-e-bahār-e-gulistāñ na ho sakā
ḳhūn-e-dil-o-jigar na tabassum banā na ashk
mazmūn-e-ārzū koī unvāñ na ho sakā
marnā to ek baar huā sahl bhī magar
jiinā kisī tarah kabhī āsāñ na ho sakā
baḌhtā hī jā rahā hai zamāne kā iztirāb
duniyā ke dard kā koī darmāñ na ho sakā
mustaqbil-e-hayāt ke irfāñ se maiñ 'nushūr'
is daur-e-pur-fareb kā insāñ na ho sakā