Nushur Wahidi

ek daman-e-rangin lahraya masti si faza mein chha hi gai

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
ik dāman-e-rañgīñ lahrāyā mastī sī fazā meñ chhā hī ga.ī
jab sair-e-chaman ko vo nikle phūloñ kī jabīñ sharmā hī ga.ī
ye sehn-e-chaman ye bāġh-e-jahāñ ḳhālī to na thā nik.hat se magar
kuchh dāman-e-gul se duur thā maiñ kuchh bād-e-sabā katrā hī ga.ī
ehsās-e-alam aur pās-e-hayā us vaqt kā aañsū sahbā hai
us chashm-e-hasīñ ko kyā kahiye jab pī na sakī chhalkā hī ga.ī
ḳhud-bīñ thā mizāj-e-husn magar dāmān-e-mohabbat chhū hī gayā
andāz-e-taġhāful kuchh bhī sahī kuchh un kī nazar farmā hī ga.ī
har sho.ala-gar-e-ahd-e-zulmat anjām se apne Dartā hai
jab zikr-e-sahar mahfil meñ chhiḌā kuchh sham.a kī lau tharrā hī ga.ī
is daur meñ kitne shaiḳh-e-haram mai-ḳhāne kā rasta pūchh ga.e
saaqī kī nazar begāna sahī kuchh kār-e-jahāñ samjhā hī ga.ī
ik aah jo sho.ala-bār huī aalam meñ sharāre phail ga.e
ik mauj jo muztar ho ke uThī dariyā kā lahū garmā hī ga.ī
tahzīb ke rā.anā paikar se ye bār-e-amānat uTh na sakā
nāzūra-e-ahd-e-hāzir kī nāzuk thī kamar bal khā hī ga.ī
zahrāb-e-zamāna pī pī kar jo ahl-e-junūñ the raah lage
shā.er ko 'nushūr' ik zulf-e-dotā ġham de na sakī uljhā hī ga.ī
Top Urdushayar.com