shauq thā shabāb kā husn par nazar ga.ī
luT ke tab ḳhabar huī zindagī kidhar ga.ī
zindagī qarīb hai kis qadar jamāl se
jab koī sañvar gayā zindagī sañvar ga.ī
hai chaman kī aabrū qāfila bahār kā
bū-e-gul kā saath kyā be-vafā jidhar ga.ī
dekhte hī dekhte din ga.e bahār ke
fasl-e-gul bhī kis qadar tez-tar guzar ga.ī
kyuuñ sakūñ nasīb haiñ hijr kī darāziyāñ
jaise pyaas bujh ga.ī jaise bhuuk mar ga.ī
kyā ḳhabar 'nushūr' thī manzil hayāt kī
phuul le liyā magar nok-e-ḳhār utar ga.ī