Waqar Vasiqi

teri nazar mein tere ma-siwa nahin hoga

Waqar Vasiqi

Madhya Pradesh, India

1917
tirī nazar meñ tire mā-sivā nahīñ hogā
tire vajūd kā jis din tujhe yaqīñ hogā
jo ghar se niklā to har ik ko muntazir paayā
ḳhayāl thā ki koī jāntā nahīñ hogā
fareb detī haiñ vīrāniyāñ sadā to lagā
makān hai to yaqīnan koī makīñ hogā
ḳhabar na thī ki hazār āñkheñ haiñ añdhere kī
use ḳhayāl thā charchā kahīñ nahīñ hogā
hare daraḳhtoñ ke saa.e se ab laraztā hai
vo ḳhushk pattoñ meñ baiThā huā kahīñ hogā
vo chhup gayā ho kisī ḳhauf se kahīñ varna
abhī dikhā.ī diyā thā yahīñ kahīñ hogā
'vaqār' aur kahīñ to nazar nahīñ aatā
agar vo ghar meñ nahīñ hai to phir vahīñ hogā
Top Urdushayar.com