ġhair-mumkin thā ye ik kaam magar ham ne kiyā
tere nazzāre ko pāband-e-nazar ham ne kiyā
aage chal kar ye ḳhudā jaane kahāñ rah jaa.eñ
ġhair bhī chal paḌe jab azm-e-safar ham ne kiyā
in ḳhayālāt hī par TuuT paḌī hai duniyā
jin ḳhayālāt ko kal zehn-badar ham ne kiyā
din ḳhatarnāk jazīra sā nazar aane lagā
apnī hī zaat kā kal shab jo safar ham ne kiyā
yuuñ taḌap uTThā ki aa.ī ho qayāmat jaise
us kī dahlīz pe ḳham aaj jo sar ham ne kiyā
tū hai hamrāh to kāñTe bhī maza dene lage
yuuñ to kahne ko ka.ī baar safar ham ne kiyā
kar ga.e bhuul ke jo 'sarmad'-o-'mansūr'-o-'vaqār'
vo tamāsha na sar-e-rāh-guzar ham ne kiyā