kis qadar vazn hai ḳhatāoñ meñ
zikr rahtā hai pārsāoñ meñ
vāpsī par utar gayā chehra
jā ke baiThā thā ham-navāoñ meñ
raaz kī baat hai duā na karo
yaad rakhnā hameñ duāoñ meñ
DhūñD shāyad mile payām-e-zamīr
būḌhe bargad kī in chaTTānoñ meñ
apnī tārīf karne baiThā thā
baat uḌā dī ga.ī havāoñ meñ
chehre badle hue haiñ 'shamar'-o-'yazīd'
ahd-e-hāzir kī karbalāoñ meñ
sochte ho 'vaqār' kyā tum bhī
naam aa jaa.e pārsāoñ meñ