jis baat ko sun kar tujhe taklīf huī hai
duniyā meñ usī baat kī tārīf huī hai
paiġhām-e-masarrat pe ḳhushī ḳhuub hai lekin
sunte haiñ ki ham-sā.e ko taklīf huī hai
bigḌe hue kuchh harf haiñ be-ma.anī se kuchh lafz
ye ziist ke aurāq kī tālīf huī hai
rūdād meñ aisī to koī baat nahīñ thī
maano ki na maano koī tahrīf huī hai
dushman pe bhī guzre na kabhī aisā zamāna
kaliyoñ ke chaTakne se bhī taklīf huī hai
likhtā thā qasīde to koī suntā nahīñ thā
likhne lagā jab hajv to tārīf huī hai