apne andar utar rahā huuñ maiñ
dhīre dhīre sudhar rahā huuñ maiñ
nūr-o-zulmat meñ imtiyāz nahīñ
is kuñ.eñ meñ utar rahā huuñ maiñ
jis ko dekho churā rahā hai nigāh
kis galī se guzar rahā huuñ maiñ
ḳhud ko ik din sameTnā bhī hai
āj-kal to bikhar rahā huuñ maiñ
chhoḌā andesha-hā-e-dūr-darāz
jī rahā huuñ ki mar rahā huuñ maiñ
jāntā huuñ maiñ har qadam us kā
muddatoñ ham-safar rahā huuñ maiñ
saare chehre haiñ ye to anjāne
mehmāñ kis ke ghar rahā huuñ maiñ