dair-o-ka.aba kī azmat musallam magar
mai-kada bhī ḳhudā hī ke ghar sā lage
chāñd tāroñ kī jo de rahā hai ḳhabar
dekhne meñ to vo be-ḳhabar sā lage
gumrahī meñ bhī dīvāna-e-dil-figār
manzil-e-hosh kā rāhbar sā lage
ye jahāñ rashk-e-jannat hai kis ke liye
aur kisī ko yahī dard-e-sar sā lage
jhiil meñ adh-khile phuul par chāñdnī
ham ko manzar ye terī nazar sā lage
sham-e-bazm-e-adab thā vo kal tak magar
aaj 'lāġhar' charāġh-e-sahar sā lage