mai-ḳhāne meñ baḌhtī ga.ī tafrīq-e-nihāñ aur
shīshe kā bayāñ aur hai saaqī kā bayāñ aur
inkār-e-haqīqat bhī hai ik sair-e-haqīqat
hotā hai yaqīñ aur to baḌhtā hai gumāñ aur
rañgīn fazāoñ meñ Tapakne lage aañsū
aayā huuñ gulistān to shabnam hai chakāñ aur
is darja bhī māyūs na dekhī thiiñ bahāreñ
duniyā meñ haiñ ai dost bahut mulk-e-ḳhizāñ aur
har gaam 'nushūr' ābla-pā.ī kā hai aalam
kuchh duur hai ye qāfila-e-dard ravāñ aur