na kar paa.e dushman bhī jo dushmanī meñ
kiyā hai rafīqoñ ne vo dostī meñ
buzurgoñ se paayā hai ye raaz ham ne
hai jiine kī lazzat faqat sādgī meñ
abas hai ibādat abas is kā taqvā
agar ādamiyat nahīñ aadmī meñ
falak tak agar tū gayā bhī to kyā hai
bahut fāsla hai abhī āgahī meñ
zamāne ko ab koī kaise batā.e
baḌī tīrgī hai na.ī raushnī meñ
bahādur marā ek hī baar 'lāġhar'
ka.ī baar buzdil marā zindagī meñ