Urmila Madhav

rah jo chalni hai usMein KHubiyan koi nahin

Urmila Madhav

raah jo chalnī hai us meñ ḳhūbiyāñ koī nahīñ
ruuh apnī chhoḌ ke vaqt-e-girāñ koī nahīñ
dahr hai jaltā huā aur pattharoñ ke aadmī
chilchilātī dhuup hai aur āshiyāñ koī nahīñ
aur kitnā āzmānā jo huā vo ḳhuub hai
tum vahī ho ham vahī rāz-e-nihāñ koī nahīñ
hai nayā kuchh bhī nahīñ kyuuñ is qadar hairāñ hue
saath chalne ko tumhāre ai miyāñ koī nahīñ
sāmne maqtal huā lo fikr se ḳhārij hue
bas yahī rasta hai jis ke darmiyāñ koī nahīñ
Top Urdushayar.com