kis tarah bhūle tire alfāz-e-bejā kyā karūñ
vahshateñ yā hasrateñ jo bhī haiñ le jā kyā karūñ
dil hathelī pe rakhā aur saath meñ ik ḳhat diyā
kuchh nahīñ baaqī bachā hai kyuuñ ye bhejā kyā karūñ
har ghaḌī halkān rahnā aur na sonā raat bhar
aur jo tanhā.ī dī thī vo bhī hai jā kyā karūñ
kab talak chal pā.egī ye ek tarfa zyādtī
maiñ bhī jānūñ huuñ taġhāful jā kahe jā kyā karūñ
mujh ko sunñā hī nahīñ hai talḳhiyoñ kā falsafa
umr bhar to maiñ ne tanhā ġham sahejā kyā karūñ