DhūñDhiye is shahr meñ ab kis ko hāsil kaun hai
aur zarā batlā.īye kis ke muqābil kaun hai
maiñ ne mīzānoñ se pūchhā taaq par rakh kar zamīr
apnī in barbādiyoñ meñ aur shāmil kaun hai
ḳhud havāle kar ke jis ne kashtiyāñ tūfān meñ
bādbāñ se jā ke pūchhā merā sāhil kaun hai
ye nasīm-o-khār-o-khas kis ne jalāyā aag meñ
ābshāroñ ne ye sochā itnā jāhil kaun hai
barf kā siina pighal kar ek dariyā ho gayā
kaun Thahrā thā yahāñ par itnā maa.il kaun hai