Nushur Wahidi

aaghosh-e-rang-o-bu ke fasane mein kuchh nahin

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
āġhosh-e-rañg-o-bū ke fasāne meñ kuchh nahīñ
hasrat nikal ga.ī to zamāne meñ kuchh nahīñ
māyūsiyoñ meñ husn bhī raushan nahīñ rahā
dil bujh gayā to sham.a jalāne meñ kuchh nahīñ
saaqī ke kaif-e-bāda-e-pārīna kī qasam
science ke jadīd ḳhazāne meñ kuchh nahīñ
ik husn-e-nīm-ḳhvāb kā aalam hī aur hai
soī huī adā ko jagāne meñ kuchh nahīñ
fitrat na.ī zamāna nayā zindagī na.ī
kohna ḳhudā ko pūjte jaane meñ kuchh nahīñ
terā hī ek aks thā har sū nazar-fareb
dekhā to mere ā.īna-ḳhāne meñ kuchh nahīñ
kuchh zikr-e-jām-o-shāhid-o-mai kījiye 'nushūr'
hosh o ḳhirad ke sard fasāne meñ kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com