ik umr se jis ko liye phirtā huuñ nazar meñ
vo ruup hai sūraj meñ na vo rañg sahar meñ
chaltī haiñ havā.eñ to baras jaatī haiñ āñkheñ
chhā.e haiñ tirī yaad ke bādal mire ghar meñ
hairāñ hue jaate haiñ mujhe dekhne vaale
ā.īna muallaq hai mire dīda-e-tar meñ
ik chāñd ko chhūne kī tamannā meñ huuñ pāgal
bādal sā uḌā jaatā huuñ ḳhvāboñ ke safar meñ
motī mirī āñkhoñ ne luTā Daale haiñ 'fāḳhir'
ḳhush-rañg koī phuul khilā jab bhī jigar meñ