jis shaḳhs ko dekho vahī sargarm-e-safar hai
duniyā kahīñ vīrān na ho jaa.e ye Dar hai
lā.egī kabhī rañg havāoñ kī mohabbat
ham jis meñ basar karte haiñ vo ret kā ghar hai
sahrā meñ kisī saa.e kī ummīd na TuuTī
hasrat kī nigāhoñ meñ bagūlā bhī shajar hai
niklī hai gumānoñ se yahī shakl yaqīñ kī
jis samt uḌe gard vahī rāhguzar hai
mahtāb to niklā hī nahīñ Duub ke 'fāḳhir'
lekin mire dariyā meñ vahī madd-o-jazar hai