Ahmad Fakhir

ek hum hain gila karne ki himmat nahin karte

Ahmad Fakhir

ik ham haiñ gilā karne kī himmat nahīñ karte
ik tum ho ki ḳhvāboñ ko haqīqat nahīñ karte
jaao to magar aks koī chhoḌ na jaanā
ab aa.ine aksoñ kī hifāzat nahīñ karte
ab chāñd kā armāñ bhī sar-e-shām nahīñ hai
āñkhoñ ke jharoke bhī shikāyat nahīñ karte
ham dhuup se narmī kī umīdeñ hī rakhe jaa.eñ
har-chand ki saa.e bhī muravvat nahīñ karte
rahrav haiñ har ik peḌ se mil lete haiñ 'fāḳhir'
saaya nahīñ miltā to shikāyat nahīñ karte
Top Urdushayar.com