kyā kahiye rāh-e-shauq ko kis tarah sar kiyā
ham ne safar fazāoñ meñ be-bāl-o-par kiyā
zulf us kī ho rahī thī pareshāñ havāoñ meñ
ham ye samajh rahe the duā ne asar kiyā
pūchho na kis tarah se guzārī hai zindagī
maddham se ik diye ne havā meñ safar kiyā
'fāḳhir' guzar rahe haiñ ham is daur se yahāñ
jis ne mohabbatoñ ko bhī marhūn-e-zar kiyā