Nushur Wahidi

tez-tar lahja-e-guftar kiya hai humne

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
tez-tar lahja-e-guftār kiyā hai ham ne
barg-e-gul ko kabhī talvār kiyā hai ham ne
sho.la-e-teġh ko āġhosh-e-nazar meñ le kar
ziist meñ maut ko bhī pyaar kiyā hai ham ne
kitne mansūroñ kā ḳhuuñ de ke tire kūche meñ
ehtirām-e-rasan-o-dār kiyā hai ham ne
mai-kade vāloñ ko saaqī kā havāla de kar
ek āvāz pe hushiyār kiyā hai ham ne
ġhair ke ḳhaam irādoñ ko kiyā hai paspā
azm ko āhanī dīvār kiyā hai ham ne
amn kahte haiñ jise ruuh hai āzādī kī
ek aalam ko ḳhabar-dār kiyā hai ham ne
ġhair ko pahle hī pahchān liyā thā lekin
hosh meñ aane ko ik vaar kiyā hai ham ne
ḳhuun ke daaġh chaTānoñ pe jo paa.e haiñ 'nushūr'
chuum kar lāla-e-kuhsār kiyā hai ham ne
Top Urdushayar.com