Ahmad Fakhir

aankhon ka bhi humse kabhi parda nahin rakkha

Ahmad Fakhir

āñkhoñ kā bhī ham se kabhī parda nahīñ rakkhā
milne kā bhī lekin koī rasta nahīñ rakkhā
vo zaḳhm diye bād-e-sabā ne ki shajar ne
patta bhī sar-e-shāḳh-e-tamannā nahīñ rakkhā
ham ne to bahut saaf kiyā aa.ina dil kā
us ne magar ā.īne meñ chehra nahīñ rakkhā
dīvār uThā.ī agar alfāz kī us ne
bhūle se bhī ma.anī kā darīcha nahīñ rakkhā
duniyā ke liye baaġh lagā Daale haiñ 'fāḳhir'
apne liye ik shāḳh kā saaya nahīñ rakkhā
Top Urdushayar.com