chāñdnī jis kī dar-e-jāñ pe ham aksar dekheñ
kabhī us chāñd ko bhī haath se chhū kar dekheñ
kaise bhar leñ dar-o-dīvār pe āvezāñ haiñ
jis taraf dekheñ tirī yaad kā manzar dekheñ
kabhī bārish kī bhī rātoñ meñ na chamkī bijlī
yahī armān rahā ghar ko munavvar dekheñ
aañkh khul jaa.e to sahrā kī zamīñ par hoñ qadam
niiñd aa jaa.e to ḳhvāboñ meñ samundar dekheñ
TuuT jaane kā bhī imkān bahut hai is meñ
yuuñ kamānoñ kī tarah aap na khiñch kar dekheñ
shaam hote hī nikal aate haiñ taare 'fāḳhir'
ik sitāre kā magar rāsta shab-bhar dekheñ