ab chāñd nahīñ koī sitāra nahīñ koī
shab itnī añdherī hai ki niklā nahīñ koī
har-chand nazar aatī hai dīvār-e-tamannā
chāheñ ki Thahar jaa.eñ to saaya nahīñ koī
chehroñ ko ye ġham hai koī ā.īna nahīñ hai
ā.īna tarastā hai ki chehra nahīñ koī
jis se bhī milo dekh ke rah jaatā hai muñh ko
aisā bhī nahīñ hai ki shanāsā nahīñ koī
armān tumheñ fasl-e-gulistāñ kā hai 'fāḳhir'
shāḳhoñ pe yahāñ phuul to khiltā nahīñ koī