Nisar Tareen Jazib

ta-hashr zid mein subh ki aati rahegi sham

Nisar Tareen Jazib

tā-hashr zid meñ sub.h kī aatī rahegī shaam
gul hoñge jo charāġh jalātī rahegī shaam
har shaam le ke aa.egī paiġhām sub.h kā
har sub.h jal ke dhuup meñ laatī rahegī shaam
sham.eñ jalā ke shaam se nafrat kareñge log
logoñ ko pyaar karnā sikhātī rahegī shaam
taz.īn-e-chashm ho na ho kājal kī dhaar se
be-vaqt bhī jahān meñ aatī rahegī shaam
jaise hinā.ī haath ho Duubā sharāb meñ
manzar hameñ vo roz dikhātī rahegī shaam
jaane lageñgī baaġh se jab din kī rāniyāñ
rātoñ kī rāniyoñ ko jagātī rahegī shaam
thak kar giregā to ye sambhālegī god meñ
sūraj ko TūTne se bachātī rahegī shaam
insāñ to pheñk deñge libās-e-hayā ko duur
un kā har ik gunāh chhupātī rahegī shaam
kisht-e-falak meñ Daal ke ḳhūn-e-shafaq kī khaad
tāroñ kī ek fasl ugātī rahegī shaam
kirneñ kuchh āftāb kī 'jāzib' sameT kar
motī ridā-e-shab pe sajātī rahegī shaam
Top Urdushayar.com