Guhar Khairabadi

tufan samundar ke na dariya ke bhanwar dekh

Guhar Khairabadi

tūfān samundar ke na dariyā ke bhañvar dekh
sāhil kī tamannā hai to maujoñ kā safar dekh
ḳhushiyoñ kā ḳhazīna tah-e-dāmān-e-alam hai
guzre shab-e-tārīk to phir nūr-e-sahar dekh
uḌ jaanā falak tak koī mushkil nahīñ lekin
sūraj ke tamāzat se jhulas jaa.eñ na par dekh
me.arāj hai me.arāj tire zauq-e-nazar kī
har manzar-e-dil-kash yahī kahtā hai udhar dekh
chashme haiñ na dariyā na samundar hai na jhīleñ
hai pyaas ki aalam haiñ sarāboñ kā safar dekh
Takrā.eñ to sahrāoñ meñ bhī aag lagā deñ
poshīda rag-e-sañg meñ haiñ kitne sharar dekh
tū ne to mirī samt se muñh moḌ liyā hai
ab hotī hai kis tarah mirī umr basar dekh
tū apnī hifāzat kī duā maañg chukā hai
ab baiTh ke ḳhalvat meñ duāoñ kā asar dekh
is kār-gah-e-dahr meñ ai rahmat-e-ālam
ik maiñ hī nahīñ sab haiñ tire dast-e-nigar dekh
kyā tah meñ samundar kī 'guhar' DhūñD rahā hai
merī sadaf-e-chashm meñ ashkoñ ke 'guhar' dekh
Top Urdushayar.com