hazār sham.a farozāñ ho raushnī ke liye
nazar nahīñ to añdherā hai aadmī ke liye
ta.alluqāt kī duniyā bhī aadmī ke liye
ik ajnabī sā tasavvur hai ajnabī ke liye
chaman chaman hai mohabbat jahāñ jahāñ se jamāl
ye ehtimām hai ik dil kī zindagī ke liye
shab-e-nashāt mubārak tujhe ye māh-o-nujūm
sahar bahut hai mirī kam-sitārgī ke liye
nigāh-e-dost salāmat ki faiz-e-girya se
bahut guhar haiñ mire dāman-e-tahī ke liye
nigāh-e-mast kī sahbā Tapak rahī hai 'nushūr'
ġhazal kahī hai tabī.at kī sarḳhushī ke liye