Guhar Khairabadi

tarikiyon mein apni ziya chhoD jaunga

Guhar Khairabadi

tārīkiyoñ meñ apnī ziyā chhoḌ jā.ūñgā
guzrūñgā maiñ to naqsh-e-vafā chhoḌ jā.ūñgā
duniyā ke log sunte raheñge tamām umr
lafzoñ meñ apne dil kī sadā chhoḌ jā.ūñgā
apne lahū se phuul khilā kar hayāt ke
har samt ḳhushbuoñ kī fazā chhoḌ jā.ūñgā
rakheñgī yaad husn kī ra.anā.iyāñ mujhe
vo gulistāñ meñ rañg nayā chhoḌ jā.ūñgā
har ik qadam banegī jo tahzīb kī misāl
vo zindagī kī tarz-e-adā chhoḌ jā.ūñgā
sīñchegā phir chaman meñ use mere ba.ad kaun
jis peḌ ko yahāñ maiñ harā chhoḌ jā.ūñgā
ye sochtā huuñ jab kabhī hogā mirā safar
kyā kyā maiñ le ke jā.ūñgā kyā chhoḌ jā.ūñgā
tarke meñ kuchh bhī chhoḌūñ na chhoḌūñ yahāñ magar
bachchoñ ke haq meñ apnī duā chhoḌ jā.ūñgā
pahuñchegā faiz jis se zamāne ko ai 'guhar'
ilm-o-hunar kī maiñ vo ghaTā chhoḌ jā.ūñgā
Top Urdushayar.com