charāġh se kabhī tāroñ se raushnī māñge
añdherī raat bhī kis kis se zindagī māñge
jalāne vaale jalāte haiñ nafratoñ ke charāġh
fazā-e-vaqt mohabbat kī raushnī māñge
vo nā-shanās-e-haqīqat hai is zamāna meñ
vafā ko bhiik samajh kar galī galī māñge
nishāt-o-ranj muqaddar kī baat hotī hai
kisī se ġham na kisī se koī ḳhushī māñge
har ek shaḳhs meñ andāz-e-kaj-adā.ī hai
magar ye dil hai ki rah rah ke dostī māñge
jahāñ suroñ kī haqīqat na ho vahāñ pe 'guhar'
jo koī māñge to kyā tāj-e-khusravī māñge