dil ke dāman meñ jo sarmāya-e-afkār na thā
zindagī thī magar us kā koī me.aar na thā
jaane kyuuñ baat mirī un ko girāñ-bār huī
lafz aisā to koī shāmil-e-guftār na thā
kaun suntā mirī kis ko maiñ sadā.eñ detā
aisī ġhaflat thī ki ehsās bhī bedār na thā
har taraf dhuup thī phailī huī uryānī kī
sar chhupāne ko kahīñ sāya-e-kirdār na thā
āsmāñ chiir ke rakh detī sadārat merī
vo to kahiye koī dushman pas-e-dīvār na thā
zahr kā ghūñT bil-āḳhir use piinā hī paḌā
baat ye thī vo zamāne kā taraf-dār na thā
us kī begāna-ravī se use samjhā maiñ ne
tishnā-e-ḳhūn-e-vafā thā karam-e-āsār na thā
jis ko dekhā vo haqā.eq pe thā parda Daale
ā.īna-dār-e-haqīqat koī kirdār na thā
e.atibār-e-dil-e-pur-shauq bhī paidā karte
kaam aane kā faqat jazba-e-īsār na thā
kaam āñkhoñ se na lete to bhalā kyā karte
dard pinhāñ the bahut par lab-e-iz.hār na thā
sarfarāzī mirī qismat meñ na thī varna 'guhar'
nok-e-neza pe pahuñchnā koī dushvār na thā