Guhar Khairabadi

waqar de ke kabhi be-waqar mat karna

Guhar Khairabadi

vaqār de ke kabhī be-vaqār mat karnā
hameñ ḳhudā ke liye sharmsār mat karnā
nikalnā jab kabhī le kar charāġh bastī meñ
añdhere ghar bhī mileñge shumār mat karnā
usī kā aaj bhī ham intizār karte haiñ
jo kah gayā thā mirā intizār mat karnā
ye maanā aaj zamāna hai bevafā.ī kā
magar tum aisā chalan iḳhtiyār mat karnā
safar ke maare hue āsmān ke panchhī
sukūñ se baiThe haiñ un kā shikār mat karnā
dil iztirāb kī had se guzar gayā ai dost
nayā ab aur koī mujh pe vaar mat karnā
kahīñ bikhar ke na rah jaa.e ġham fazāoñ meñ
qabā-e-ġhuncha-e-dil tār-tār mat karnā
mirī ḳhatā ko karam kī ridā uḌhā denā
mujhe zamāne kī nazroñ meñ ḳhvār mat karnā
jab iḳhtilāf meñ sar ko uThā.e hoñ maujeñ
to ai 'guhar' kabhī dariyā ko paar mat karnā
Top Urdushayar.com