Guhar Khairabadi

dard-e-dil ke sath kya mere masiha kar diya

Guhar Khairabadi

dard-e-dil ke saath kyā mere masīhā kar diyā
be-qarārī baḌh ga.ī hai jab se achchhā kar diyā
kyā ajab thī un ke pākīza tabassum kī kiran
qalb kī tārīk bastī meñ ujālā kar diyā
jab na un ke rāz-e-vahshat tak pahuñch paa.ī nazar
hosh vāloñ ne junūñ vāloñ ko rusvā kar diyā
nafratoñ kī had banā kar apne mere darmiyāñ
vo bhī tanhā rah ga.e mujh ko bhī tanhā kar diyā
ab to had se baḌh ga.ī thiiñ apne dil kī uljhaneñ
muskurā kar aap ne ġham kā mudāvā kar diyā
har-nafas bād-e-sahar kī tarah maujeñ le uThā
kyā kisī ne un kī aamad kā ishārā kar diyā
dekh kar saaqī kī mastāna nigāhī ai 'guhar'
zindagī ko ham ne vaqf-e-jām-o-mīnā kar diyā
Top Urdushayar.com