varaq varaq jo zamāne ke shāhkār meñ thā
vo zindagī kā sahīfa bhī intishār meñ thā
jise maiñ DhūñD rahā thā navā-e-bulbul meñ
vo naġhma pairahan-e-gul ke taar taar meñ thā
maiñ qatl ho ke zamāne meñ sarfarāz rahā
ki merī jiit kā pahlū bhī merī haar meñ thā
kaleje saare daraḳhtoñ ke sahme jaate the
havā kā ruḳh thā bhalā kis ke iḳhtiyār meñ thā
vo nā-shanās-vafā sej par thā phūloñ kī
maiñ āshnā-e-vafā dasht-e-ḳhār-ḳhār meñ thā
dayār-e-ġhair meñ hāsil thiiñ shohrateñ mujh ko
maiñ ajnabī kī tarah apne hī dayār meñ thā
samajh rahā thā maiñ ḳhvābīda ḳhud ko sāhil par
khulī jab aañkh to dariyā kī tez dhaar meñ thā
nigāh vāloñ meñ us kā bharam na rah paayā
vo sañg thā magar ā.īnoñ kī qatār meñ thā
mohabbateñ thiiñ mire iḳhtiyār meñ lekin
mohabbatoñ kā sila us ke iḳhtiyār meñ thā
chamak rahā vahī gauhar-e-vafā ban kar
'guhar' jo ashk mirī chashm-e-intizār meñ thā