Guhar Khairabadi

main gharq wahan pyas ke paikar ki tarah tha

Guhar Khairabadi

maiñ ġharq vahāñ pyaas ke paikar kī tarah thā
har qatra jahāñ ek samundar kī tarah thā
ghar saare shikasta the guzar-gāheñ añdherī
kuchh shahr mirā mere muqaddar kī tarah thā
aaj us kā jahāñ meñ koī pursāñ hī nahīñ hai
kal tak jo zamāne meñ sikandar kī tarah thā
thā is ke muqaddar meñ likhā Dūbnā Duubā
hālāñki vo dariyā meñ shanāvar kī tarah thā
kyā merī haqīqat thī gulistāñ meñ na pūchho
maiñ thā magar ik tā.ir-e-be-par kī tarah thā
jab shahr meñ patthar hī kī thī umr gañvā.ī
duniyā meñ tujhe jiinā bhī aazar kī tarah thā
dil ke bhī zamāne meñ badalte rahe andāz
dariyā kī tarah thā kabhī patthar kī tarah thā
duniyā-e-adab meñ sabhī kahte haiñ jise 'mīr'
ik lafz-o-ma.ānī ke samundar kī tarah thā
raas aa.ī 'guhar' ḳhuub mujhe dasht-navardī
har ābla-e-pā mirā gauhar kī tarah thā
Top Urdushayar.com