Guhar Khairabadi

jis taraf bhi dekhiye saya nahin

Guhar Khairabadi

jis taraf bhī dekhiye saaya nahīñ
phir bhī gulshan hai koī sahrā nahīñ
log baiThe haiñ usī kī chhāñv meñ
saa.e se jis peḌ kā rishta nahīñ
kaam agar aa.e nigāh-e-haq-shanās
phir kisī pahlū koī dhokā nahīñ
haq-pasand merā dastūr-e-amal
ya.anī bik jaanā mirā sheva nahīñ
dosto rakkho haqīqat par nazar
ḳhvāb āñkhoñ meñ kabhī paltā nahīñ
us kī duniyā meñ nahīñ qīmat koī
jo kasauTī par kharā utrā nahīñ
vus.ateñ dil kī haiñ dariyā kī tarah
kaun kahtā hai ki dil dariyā nahīñ
dard-o-ġham vo kis ke samjhe ai 'guhar'
apne ghar se jo kabhī niklā nahīñ
Top Urdushayar.com