Nushur Wahidi

main abhi se kis tarah un ko bewafa kahun

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
maiñ abhī se kis tarah un ko bevafā kahūñ
manziloñ kī baat hai rāste meñ kyā kahūñ
husn-e-be-hijāb par koī parda Daal lo
tum use sanam kaho maiñ use ḳhudā kahūñ
ai harīs-e-mai-kada ḳhūn-e-zindagī na pī
tū sharāb agar piye tujh ko pārsā kahūñ
gesū-e-siyāh kī ye hasīñ darāziyāñ
raat kyuuñ kahūñ unheñ raat kī duā kahūñ
tarjumān-e-rāz huuñ ye bhī kaam hai mirā
us lab-e-ḳhamosh ne mujh se jo kahā kahūñ
ġhair merā hāl-e-ġham pūchhte rahe magar
dostoñ kī baat hai dushmanoñ se kyā kahūñ
imtihān-e-shauq hai aisī āshiqī 'nushūr'
dil kā koī haal ho un ko dilrubā kahūñ
Top Urdushayar.com