maiñ ik musāfir-e-tanhā mirā safar tanhā
dayār-e-ġhair meñ phirtā huuñ dar-ba-dar tanhā
mire ḳhilāf tamām āñdhiyāñ zamāne kī
maiñ ik charāġh sadāqat kī raah par tanhā
hai ek bhiiḌ magar koī bhī rafīq nahīñ
maiñ sochtā huuñ ki maiñ bhī huuñ kis qadar tanhā
na meTe miT sakīñ tanhā.iyāñ muqaddar kī
ki rah ke baaġh meñ bhī hai shajar shajar tanhā
tire bhī siine meñ apnoñ kā dard jāgegā
dayār-e-ġhair meñ koī to shaam kar tanhā
koī to baḌh ke ye kahtā ki rah-ravān-e-vatan
hai kārvān-e-mohabbat kā rāhbar tanhā
chaman meñ gūñje sadā bhī to kis tarah gūñje
parinda shāḳh pe bolā to hai magar tanhā
baḌe muhīb nazar aa.e hāl-o-mustaqbil
jab apne maazī ko sochā hai baiTh kar tanhā
nigāh puḳhta hai jis kī vahī ḳharīdegā
hai sañg-rezoñ ke bāzār meñ 'guhar' tanhā