Ali Arman

raat ke jangal mein koi rasta milta nahin

Ali Arman

1973
raat ke jañgal meñ koī rāsta miltā nahīñ
aisā uljhā huuñ ki ab apnā sirā miltā nahīñ
chup haiñ ab saare darīche band haiñ saare kivāḌ
aur kisī dīvār par koī diyā miltā nahīñ
iztirāb-e-ārzū kā saath deñ to kis tarah
dil purānā ho chukā hai aur nayā miltā nahīñ
jaane kis dariyā se ḳhushbū bāñdh kar laatī hai ye
dekhiye to jāda-e-mauj-e-sabā miltā nahīñ
mun.akis kartā hai jaane kaun merī hairateñ
aa.ine ko toḌ kar bhī aa.ina miltā nahīñ
band hote jā rahe haiñ vāpsī ke rāste
lauT kar dekhūñ to koī naqsh-e-pā miltā nahīñ
maan lo 'armān' ab ḳhushbū ke rishte mar ga.e
ab kisī gul ko kisī gul kā patā miltā nahīñ
Top Urdushayar.com