Ali Arman

dasht roz-o-shab mein dil-e-betab ko taza rakhna

Ali Arman

1973
dasht roz-o-shab meñ dil-e-betāb ko taaza rakhnā
āñkheñ be-shak jhaḌ jaa.eñ ik ḳhvāb ko taaza rakhnā
maiñ bhī apnī pyaas nahīñ bujhne dūñgā aur tum bhī
apne sahrā ke har ek sarāb ko taaza rakhnā
jazboñ kī is jhiil meñ soch kī kaa.ī na jamne paa.e
apnī tamannā ke aks-e-mahtāb ko taaza rakhnā
shāḳh hunar se toḌ ke sher kā phuul maiñ us ko de duuñ
us kī zulf ko hai ma.alūm gulāb ko taaza rakhnā
is tārīk udaas aur band galī meñ rahte log
rāste raushnī aur ḳhushbū ke ḳhvāb ko taaza rakhnā
Top Urdushayar.com