tire ḳhayāl kā nashsha utartā jaatā hai
Thahar Thahar ke koī pal guzartā jaatā hai
bikhartī hai mire chehre pe jitnī pīlāhaT
ai zindagī tirā chehra nikhartā jaatā hai
zamīñ ko bhuuk lagī phir kisī tamaddun kī
ye kaun zīna-e-ibrat utartā jaatā hai
batā rahī hai thakan tere zard lahje kī
tire lahū meñ koī ḳhvāb martā jaatā hai
jise sajānā thā armān us kī zulfoñ meñ
vo phuul us kī talab meñ bikhartā jaatā hai